dilli ka itihaas bahut hi anokha aur gauravshali raha hai lekin aaj kal dilli me jo ho raha hai usne khud dilli ko sharmsar kar diya hai.ab isthiti bil;kul badal gai hai."dilli dil walon ki hai" ye baat galat ho chuki hai ab to dilli gussewalon ki ho gai hai.
abhi ek saptah se dilli kuch bachain hai.karan kai ho sakte hain,mahngai,berojgari.ab dekhna dilchasp hoga ki sarkar or dilli police iska thikra kis per phorti hai.roj lut-pat,chori,ladai,aut hatya ki khabron ne dilli ki chavi per daag lagane ka kam kiya hai.sawal ye uthta hai ki jis dilli police ki gungan hoti rahti hai wo aaj kal kar kya rahi hai...khair wo jo bhi kar rahji ho hum dilli walon ko chahiye ki khud ko sambhale.kuch dino pahle gaffar market ke pas ek manager aur pilot ki gadi me takkar ho gai .pilot ne manager ko itna mara ki bechare ki jaan chali gai jabki uski gadi per zara si kharoch aai thi jo kewal 500-600 rupaee me thik ho sakta tha.dusri ghatna me patel nagar me kuch log ande ki dakan pe aayeunhone anda manga tabhi mukesh ne bhi anda manga aur pahle se aaye ladko ne mukesh ko is liye pita ki usne unse pahle anda kyu manga tha. abhi 3-4 din me hi kai chori aur lut-pat ki ghatnaye samne aai..had to tab ho jata hai jab dahi kharidne k liye ladai ho jati hai or dahi kharidne gaye ladke ko itna pita jata hai ki uski jaan chali jati hai..kya dahi se bhi sasti ho gai jaan.

टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें